Type Here to Get Search Results !

Latest Shayari


Latest Shayari

Thoda Pi Leta Hun Thoda Ji Leta Hun Dil Ke
In Zakhmo Ko Thoda Si Leta Hun, Kal Mila
Tha Unse Yuhi Bas Rahon Me Woh Bahut Hi
Khush Thi Gair Ki Bahon Me, Zakhmon Se Bas
Bhari Hai Mere Dil Ki Yeh Kitaab Achi Ho
Yaa Kharab Sab Kuch Hai Ab Sharab, Sab
Kuch Hai Ab Sharab Sab Kuch Hai Ab Sharab.



Us Bewafa Ki Yaad Mein Marr Marr Ke Ji
Raha Hun, Main Hun Nahi Sharabi Darr
Darr Ke Pi Raha Hun, Behlauoon Kaise
Dil Ko Jab Gham Ho Behisaab, Achi Ho
Yaa Kharab Sab Kuch Hai Ab Sharab, Sab
Kuch Hai Ab Sharab Sab Kuch Hai Ab Sharab.


Hamare Dil Ki Mayusi Jaha Se Hoke Guzri
Hai, Hamari Sari Chalaki Woha Se
Kho Ke Guzri Hai, Tumhari Aur Hamari
Raat Me Bas Fark Itna Hai, Tumhari
So Ke Guzri Hai Hamari Ro Ke Guzri Hai.


Hawa Ka Jhoka Bhi Lagta Badan Pe Jaise
Ab Koda, Is Kadar Bewafai Ki Kisi Bhi
Aur Ka Na Choda, Sazaa Di Pyar Karne
Ki Khud Ko Sard Raato Me, Woh Soyi Hai
Gair Ki Baaho Me Maine Kambal Bhi Na Odha.



Unhi Ke Dil Ke Darwaze Pe Meri Har
Woh Dastak Thi, Nahi Woh Jan Nahi
Paye Ki Meri Kya Woh Hasrat
Thi, Khud Ko Hi Tabah Karke
Bhi Usko Pa Nahi Paye, Jo Ladki
Khoobsurat Thi Meri Pehli Mohabbat Thi.
Nazar Ko Bhaa Gayi Thi Jo Unke Honto Ki
Lali Thi, Jach Kya Khoob Rahi Thi Woh
Jo Unki Kaano Ki Bali Thi, Thi Husn Ki
Malika Daulat Ke Nashe Me Choor, Ameero
Ki Saugat Me Woh Ladki Dilse Khali Thi.


Meri Aankho Se Ansu Toh Nikle Thay Yahi
Sunkar, Meri Chahat Toh Khush Hi Hai
Kisi Aur Ki Bankar, Khuda Ko Bhi Reham
Na Aaya Mohabbat Ki Fakeero Par, Kyun Unko
Bhej Diya Mujh Tak Kisi Gair Ka Chunkar.

Pehle Education Se Tum Mod Diye
Jaoge, Fir Kisi Jurm Se Tum Jod
Diye Jaoge, Haath Se Haath Ki
Zanjeer Bana Kar Niklo, Warna
Dhaage Ki Tarah Tod Diye Jaoge.


Har Taraf Zulm Ki Saazishey Hain In Se Bachne
Ki Gar Khwaishey Hain, Sirf Education Hi Hai
Sahara Aur Koi Sahara Nahi Hai, Dard Me Dub
Kar Aaj Maine Tum Ko Awaz Di Mere Yaaron,
Itni Shiddat Se Maine Kisi Ko Aaj Tak To
Pukara Nahi Hai, Bin Padhe Ab Guzara Nahi Hai.


Pee Sako Jitna Peena Ho Tum Ko Illiteracy
Se Behtar Yahi Hai, Ye Samundar Hai Education
Aur Talent Ka Iska Pani To Khaara Nahi Hai,
Padhne Likhne Se Sab Kuch Banega Daur E
Present Bhi Aur Future Bhi, Kab Talak Roote
Roote Kahoge Daur E Present Hamara Nahi Hai

Waqt Ki Ye Jarurat Samjh Lo Bin Padhe
Ab Guzara Nahi Hai, Na Koi Rehnuma Na
Hukumat Koi Bhi Ab Tumhara Nahi Hai,
Tum Padho Aur Padh Kar Likho Sab Warna
History Badli Milegi, Ab Pen Aur Paper
Se Badhkar Dusra Koi Chaara Nahi Hai.


Din Nahi Kat Ta Hai Raat Yeh Bojhal Hai,
Aise Haalaton Me Zindagi Mushhkil
Hai, Woh Purani Baaten Hai Zehan Me
Ab Bhi, Jal Rahi Hai Sanse Us Jalan
Me Ab Bhi, Na Ji Paau Na Mar Paau
Seene Me Woh Jazbaat Hai, Jo Chali Gayi
Mujhe Chhod Ke Woh Aaj Bhi Dil Ke Paas Hai.


Yaado Ko Bas Woh Yaad Hai Khwabo Me
Uska Hi Khwab Hai, Naa Jagta Hun Na
Sota Hun Raaton Me Uth Ke Roota Hun,
Aankho Me Bas Barsaat Hai Jo Chali
Gayi Mujhe Chhod Ke, Woh Aaj Bhi Dil
Ke Paas Hai Yaado Ko Bas Woh Yaad Hai.
Aahat Si Hote Hi Mai Jaag Jaata Dar E Dil
Pe Deti Hai Dastak Sunayi, Besahara Hua
Hun Tere Bin Mai Aisa, Yu Lagta Hai Jaise
Hume Maut Aayi, Rakeebon Ki Shayed Dua
Rang Layi, Hume Maar Daalegi Teri Judaayi.


Aankho Ka Paani Yeh Dard E Bayan Hai,
Khamoshiyan De Rahi Hai Gwahayi, Ruswaayi
Mili Tanhaayi Mili Hume Ishq Me Mili
Jaghasayi, Naa Hum Bewafa Hain Naa Tum
Bewafa Ho, Hume Maar Daalegi Teri Judaayi.


Gar Tohmat Lagayenge Toheen Hogi, Khuda
Tu Ne Kaisi Mohabbat Banayi, Ibaadat Ka
Darza Diya Tu Ne Isko Wohi Aaj Hai Jaan
Par Ban Aayi, Naa Hum Bewafa Hain Naa Tum
Bewafa Ho, Rakeebon Ki Shayed Duaa Rang Layi.


Judaayi Judaayi Judaayi Judaayi, Hume
Maar Daalegi Teri Judaayi, Naa Hum
Bewafa Hain Naa Tum Bewafa Ho,
Rakeebon Ki Shayed Duaa Rang
Layi, Hume Maar Daalegi Teri Judaayi.


Teri Yaad Mein Dard Hai Dard Mai Tere Pyar
Hai, Tujhse Dur Rehkar Aaj Bhi Ye Dil
Bekrar Hai, Ab Tujhse Dur Raha Nahi Jata
Ab Bin Tere Saha Nahi Jata, Aa Mujhse Milke
Mujhse Kah De Tujhko Bhi Mujhse Pyar Hai.


प्यार के रास्ते बेवफा हो नहीं सकते हम
आपसे खफा हो नहीं सकते आप बेशक
हमें भूल कर सो जाओ मगर हम
आपको याद किये बिना सो नहीं सकते.


हज़ारो बातें मिल कर एक राज़ बनता है
सात सुरों के मिलने से साज़ बनता है
आशिक़ के मरने पर कफ़न भी नहीं मिलता
और हसीनाओ के मरने पर ताज़ बनता है.



सांसो का पिंजरा किसी दिन टूट जायेगा
ये मुसाफिर किसी राह में छूट जायेगा
अभी जिन्दा हु तो बात कर लिया करो,

क्याब पता कब हम से खुदा रूठ जायेगा|

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

Below Post Ad