Type Here to Get Search Results !

Shayari Gazal: apne hāthoñ kī lakīroñ meñ sajā le mujh ko


Apne Hāthoñ Kī Lakīroñ Meñ Sajā Le Mujh Ko

Maiñ Huuñ Terā Tū Nasīb Apnā Banā Le Mujh Ko

Maiñ Jo Kāñtā Huuñ to Chal Mujh Se Bachā Kar Dāman

Maiñ Huuñ Gar Phuul to Juuḍe Meñ Sajā Le Mujh Ko

Tark-e-ulfat Kī Qasam Bhī Koī Hotī Hai Qasam

Tū Kabhī Yaad to Kar Bhūlne Vaale Mujh Ko

Mujh Se Tū Pūchhne Aayā Hai Vafā Ke Ma.anī

Ye Tirī Sāda-dilī Maar Na Daale Mujh Ko

Maiñ Samundar Bhī Huuñ Motī Bhī Huuñ Ġhota-zan Bhī

Koī Bhī Naam Mirā Le Ke Bulā Le Mujh Ko

Tū Ne Dekhā Nahīñ Ā.īne Se Aage Kuchh Bhī

Ḳhud-parastī Meñ Kahīñ Tū Na Gañvā Le Mujh Ko

Bāñdh Kar Sañg-e-vafā Kar Diyā Tū Ne Ġharqāb

Kaun Aisā Hai Jo Ab Dhūñdh Nikāle Mujh Ko

Ḳhud Ko Maiñ Baañt Na Dālūñ Kahīñ Dāman Dāman

Kar Diyā Tū Ne Agar Mere Havāle Mujh Ko

Maiñ Khule Dar Ke Kisī Ghar Kā Huuñ Sāmāñ Pyāre

Tū Dabe-pāñv Kabhī Aa Ke Churā Le Mujh Ko

Kal Kī Baat Aur Hai Maiñ Ab Sā Rahūñ Yā Na Rahūñ

Jitnā Jī Chāhe Tirā Aaj Satā Le Mujh Ko

Baada Phir Baada Hai Maiñ Zahr Bhī Pī Jā.ūñ 'qatīl'

Shart Ye Hai Koī Bāñhoñ Meñ Sambhāle Mujh Ko



SOURCE:

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.

Below Post Ad