Bujh Ga.ī Sham.a Kī Lau Tere Dupatte Se to Kyā
Apnī Muskān Se Mahfil Ko Munavvar Kar De
-sada Ambalvi
**********************************
Unheñ to Dekhne Vāloñ Pe Hañsī Aatī Hai
-sudarshan Faakhir
*********************************
Dhuup Niklī Hai Bārishoñ Ke Ba.ad
Vo Abhī Ro Ke Muskurā.e Haiñ
-anjum Ludhianvi
******************************
Dil Meñ Tūfān Ho Gayā Barpā
Tum Ne Jab Muskurā Ke Dekh Liyā
-unknown
******************************
Dil-jaloñ Se Dil-lagī Achchhī Nahīñ
Rone Vāloñ Se Hañsī Achchhī Nahīñ
*******************************
Ek Bosa Hoñt Par Phailā Tabassum Ban Gayā
Jo Harārat Thī Mirī Us Ke Badan Meñ Aa Ga.ī
-kavish Badri